Aap Ki Natain Naat
Aap Ki Natain Naat Lyrics :
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Apko razi na ker paya tu mar jaon ga mai
Choti choti kirchiyan ban ker bhiker jaon ga mai
Zindagi ka is tarah mujhko maza kia aye ga
Dil siyahe k bhanwr mai dobta reh jaye ga
Wasta dun apko mai ap k hasnain ka
Yaar ghaar-e-sor ka siddique-e-konain ka
Ap tu dushman k haq mai bhi dua kertey rahey
Bewafa logo sey bhi her dam wafa kertey rahey
Ap tu rehmat hi rehmat hain jahano k lia
Merey jaise be-amal aur be-thikano k lia
Apka hai roothna arz-o-samah ka roothna
Arsh ka sarey jahano k khuda ka roothna
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Apki nazro sey girta hai tu mar jata hai wo
Raakh ban ker apney hi qadmo mai bhiker jata hai wo
Is tarah tu aadmi khud aadmi rehta nahe
Saheb-e-imaan kia insaan bhi rehta nahe
Kaisey kaisey dushmano per reham khaya aap ney
Aag sey kitney hi logo ko bachaya ap ney
Apney jooton apne saaye mai bhita dijiye mujhey
Apka nacheez khadem hon dua dijiye mujhey
Zindagi ki taiz lehron mai na beh jaon kahin
Gard ban ker rastey mai hi na reh jaon kahin
Apko khatoon-e-jannat aur ali ka wasta
Apko farooq-o-usman-e-ghani ka wasta
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Zindagi ko ek boht hi mushkil safar darpaish hai
Ek mushkil imtehaan bar-e-digar darpaish hai
Soch mai doba hoa hon soch hi mai qaid hon
Bebasi ghairey hoa hai bebasi mai qaid hon
Toot tey jatey hain sarey aasrey jitney bhi hain
Beasar hai loag sab chotey barey jitney bhi hain
Kis qadar kitna zaruri hai sahara apka
Mere qismat hi badal dey ga ishara apka
Loag akser shair-e-ashaab kehtey hain mujhey
Unki khatir roz-o-shab betaab kehtey hain mujhey
Be-amal hon maghfirat ka aik sahara hai zarur
Apka her ek sahabi jaan sey pyaara haiz zarur
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Mere khuwahish hai k unki khoobian likhta rahun
Shoq sey mai aasman ko aasman likhta rahun
Un k sadqay ap mujh per meharbani kijiye
Merey haal-e-zaar per aaqa tawajja dijiye
Aapse rishta ghulami ka sada qaim rahey
Khuwajgi aur bandagi ki yeh fiza qaim rahey
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Merey sir per mushkilon ka aasman girney ko hai
Zarra-e-nacheez per koh-e-girah girney ko hai
Ghup andhairey mai khara hon ae hira k aaftab
Purza purza ho rahe hai mere khushyun ki kitaab
Merey haq mai apney khaliq sey dua farmaiye
Ae mere aaqa karam ki inteha farmaiye
Dekhte hain tu mujhey be-aasra kehtey hain loag
Ehd-e-mazi ki koi bholi sada kehtey hain loag
Kis tarah rokun mai is toofan aur sailaab ko
Zehan sey kaise nikalun khofnak is khuwaab ko
Mere apni saans bhi ab tu merey bus mai nahe
Thak gai hai chalte chalte ab mere loh-e-jabeen
Dekh ker dushwaar rahein zindagi ghabra gai
Merey ghar tak aatey aatey roshni ghabra gai
Sabz gumbad ki taraf uth thein hain nazrain baar baar
Apki rehmat ko daita hai yeh sada khaaksaar
Khaliq-e-arzo samah sey ab dua kijiye huzoor
Meharban ho jaye mujh aasi per rabb-e-ghafoor
Mere himmat sey ziada hai pareshani ka boojh
Mai utha sakta nahe apne tan-e-fani ka boojh
Rah pe chaltey hoa ab dagmaga jata hon mai
Saans laney per bhi ab tu lerkhara jata hon mai
Lab hila dijiye mere khatir dua k wastey
Reham fermadijiye mujh per khuda k wastey
Aap ki naatein mai likh likh ker sunaon apko
Kis tarah razi kerun kaisey manaon apko
Anas Younus Naats |
ConversionConversion EmoticonEmoticon